Adhoori Si Lagi Hamari 9th Mulakat

29th October 2026 ko hamari 9th mulakat hui thi.

Main SSC CGL ka exam dene Bhubaneswar gaya tha. Mera exam 28th October ko tha. Exam dene ke baad main us din wahin ruk gaya aur agle din subah sabse pehle apni chhoti behen se milne KISS chala gaya. Meri chhoti behen KISS mein class 3 mein padhti hai. Main uske liye biscuits aur mixture lekar gaya tha. Wahan uske saath baithkar khoob baatein ki aur mummy-papa se bhi uski video call par baat karwayi. Uske baad main apne dost ki scooty lekar apni girlfriend se milne nikal gaya. Mera dost bhi KISS mein hi rehta hai. Main wahan se nikalne hi wala tha, lekin baarish ne mujhe rok diya. Baarish ruki toh main nikalne laga, lekin phir se baarish shuru ho gayi. Us din poore din baarish hoti rahi. Jaise hi baarish ruki, main scooty lekar usse milne nikal gaya. Udhar meri girlfriend mera intezaar kar rahi thi. Raste mein jaate waqt phir se baarish hone lagi, lekin is baar main ruka nahi aur chalta raha, kyunki baarish zyada tez nahi ho rahi thi.

Aakhirkaar, lagbhag 30 minute scooty chalane ke baad meri usse mulakat hui. Wahan pahunchkar maine use baithne ke liye kaha. Sabse pehle hum petrol pump gaye aur scooty mein petrol bharwaya. Uske baad hum dono museum gaye. Museum ghoomte waqt phir se baarish shuru ho gayi. Maine apna chhata nikala aur hum dono ek hi chhate ke neeche saath-saath chalne lage. Museum ghoomne ke baad hum wapas usi jagah aa gaye, jahan hamari mulakat hui thi. Raste mein ek dukaan par ruke aur maine uske aur uski dost ke liye chocolates khareed di. Uske baad woh wahan se bus pakadkar apne room chali gayi, jahan woh rehti thi.

Main scooty lekar apne dost ke paas gaya aur usse kaha ki mujhe bus stop tak chhod de. Usne mujhe bus stop par drop kar diya. Wahan se maine night bus pakdi aur wapas ghar aa gaya.

Us din uske saath waqt itni jaldi beet gaya ki aisa laga jaise hum mile hi nahi. Uske saath kuch hi pal bita paya. Kya kar sakte the, baarish ki wajah se hum dono ko milne mein der ho gayi thi. Us din waqt itni jaldi beet gaya ki mujhe bilkul bhi satisfaction nahi mila. Dil mein bas yahi khayal aa raha tha ki kaash hum dono thoda aur achhe se waqt bita paate. Kaash baarish na hoti aur humein ek-doosre ke saath kuch aur pal bitaane ka mauka milta. Uske baad maine use bahut miss kiya.

Post a Comment

0 Comments