Baripada Mein Pehla Din Aur Do Mazedaar Kisse

18 November 2026 ki baat hai. Main ghar se Baripada bus se ja raha tha. Mere bagal wali seat khali thi aur main akela baitha hua tha. Maine apni girlfriend ko call kiya. Usi waqt ek aadmi aakar mere bagal wali khali seat par baith gaya. Maine uska chehra nahi dekha ki kaun aakar baitha hai, kyunki main apni girlfriend se phone par baat kar raha tha. Woh mujhse boli, "Tum mujhe yaad bhi nahi karte ho." Maine kaha, "Aisa nahi hai, main tumhe yaad karta hoon. Subah uthkar brush kiya, nahaya, packing ki aur phir taiyar hokar ghar se nikal gaya. Isliye thoda busy tha."

Isi tarah humari kuch der tak baat hoti rahi. Jab maine call cut kiya, tab dekha ki mere bagal mein jo aadmi baitha tha, use main jaanta hoon aur woh bhi mujhe pehchanta hai. Lekin maine uske baithne par bilkul dhyan hi nahi diya tha. Main toh bindass apni girlfriend se baat kar raha tha. Use pata chal gaya hoga ki main kisi ladki se baat kar raha tha. Yeh dekhkar mujhe thoda awkward laga ki mere bagal mein ek pehchaan wala aadmi baitha tha aur mujhe pata tak nahi chala. Upar se main uske saamne bina kisi jhijhak ke apni girlfriend se baat kar raha tha. Phir maine usse baat ki aur poochha, "Kahan ja rahe ho?" Usne bhi mujhse wahi sawaal kiya. Kuch der baat karne ke baad woh raste mein hi utar gaya.

Darasal, us din main pehli baar Baripada mein rehne ke liye ja raha tha. Mujhe competitive exams ki taiyari karni thi, isliye maine ek single room liya tha, taaki koi disturb na kare aur main achhe se padhai kar sakun. Main usi silsile mein bus se Baripada ja raha tha.

Raat ko mere saath ek aur funny incident hua. Main khana khane ke baad basin ke paas apni tray dho raha tha. Tabhi meri nazar paas mein rakhe Bhim soap par padi. Maine socha ki yeh bartan dhone ke liye hi rakha hoga, isliye maine use uthaya aur tray dhone laga. Mere paas hi ek ladka bhi apni tray dho raha tha. Usne mujhe ghurkar dekha. Mujhe kuch samajh nahi aaya ki woh mujhe aise kyun dekh raha hai.

Baad mein jab main dobara usi jagah haath dhone gaya, toh dekha ki wahan Bhim soap nahi tha. Tab mujhe samajh aaya ki woh sabun us ladke ka tha aur maine bina poochhe hi uska sabun istemal kar liya tha, jabki woh khud bhi wahin maujood tha. Lekin mujhe kya pata tha ki woh sabun uska hai! Mujhe toh laga tha ki woh sabke istemal ke liye rakha gaya hai, isliye maine bina soche-samjhe utha liya.

Post a Comment

0 Comments