Meri Prem Kahani 💘

Aaj main aapko apni love story batane wala hoon. Samajh nahi aa raha ki kahaan se shuru karun.

Pehle mera kabhi bhi love ya relationship me interest nahi tha, kyunki main apni life me bahut busy rehta tha. Main video editing karta tha aur YouTube se paise kamata tha. Din bhar YouTube se editing seekhta tha aur videos edit karta tha. Main zyada kisi se milta-julta nahi tha. Classmates to the, lekin kisi se khaas dosti nahi thi. Main hamesha apne kaam me hi busy rehta tha.

Jitna ek aadmi job karke kamata hai, utna main ghar baithe kama leta tha. Roz yehi sochta rehta tha ki kal kaunsi video banaun, kis tarah ka thumbnail design karun aur channel ko kaise grow karun. Isi wajah se mere dimaag me kabhi pyaar ka khayal hi nahi aaya.

Kuch saal baad meri YouTube ki earning kam hone lagi aur maine YouTube par kaam karna lagbhag band kar diya. Ab main pehle ki tarah busy nahi rehta tha. Shayad isi wajah se pehli baar pyaar ke baare me sochna shuru kiya. Us waqt main IMBA ke 5th year me tha.

Ek din maine ek ladki ko dekha. Mujhe woh bahut achhi lagi. Uski simplicity, uska nature aur uska character mujhe bahut pasand aaya. Mujhe hamesha se aisi hi ladki chahiye thi, aur mujhe laga ki usme woh saare gun hain.

Main roz usse notice karta tha, taaki uske baare me aur jaan sakun. Maine uske kuch classmates se bhi uske baare me poocha ki woh kaisi ladki hai, uska nature kaisa hai. Sabne uske baare me sirf achhi baatein hi batayi.

Usi samay hamari HOD ma'am ne students ka newsletter banane ka kaam diya tha. Usme students ki paintings, stories, poems aur shayari add karni thi taaki unki curricular activities dikhai ja sake. Bahut saare students ne apni-apni entries di thi. Us ladki ne bhi ek shayari likhi thi.

Mujhe uski shayari me ek chhoti si sentence mistake lagi. Maine socha ki isi bahane usse baat kar lunga. Mere paas uska number nahi tha, lekin uski ek dost ka number tha. Maine uski dost ko call karke kaha ki shayari me thoda correction hai, isliye us ladki se baat karni hai.

Lekin meri planning fail ho gayi. Uski dost ne kaha, "Woh shayari to maine likhi hai. Batao kya problem hai." Is tarah meri us ladki se baat hi nahi ho saki.

Phir Teachers' Day aaya. Teachers ko dene ke liye roses laaye gaye the. Maine apni class ki ek ladki se kaha ki mere liye ek rose la do. Usne poocha, "Kise doge?" Maine sirf itna kaha, "Ek ladki ko." Woh mere liye rose le aayi.

Jab mujhe mauka mila, main us ladki ke paas gaya aur use rose de diya. Mere andar propose karne ki himmat nahi thi, isliye maine sirf itna kaha, "Ye tumhare liye hai."

Us waqt maine usse thodi der baat bhi ki aur phir uska number maang liya. Mujhe pehle se hi yakeen tha ki woh mana nahi karegi, kyunki college me meri image achhi thi. Hamari HOD ma'am bhi mere baare me hamesha achhi baatein karti thi. Isliye mujhe bharosa tha ki woh number de degi.

Ek baat aur... main usse senior tha. Main 5th year me tha aur woh 4th year me.

Jab maine use rose diya, tab sirf uski class ka ek ladka wahan tha, jo uska achha dost bhi tha. Sirf wahi jaanta tha ki maine use rose diya hai. Baaki sab students dance aur celebration me busy the.

Ab mere paas uska number to tha, lekin samajh nahi aa raha tha ki message kaise shuru karun. Bina kisi reason ke message karna ajeeb lag raha tha. Call karne ki himmat to bilkul nahi thi.

Mere dimaag me ek aur darr tha. Main sochta tha ki main senior hoon, kahin woh mujhe "bhaiya" na bula de.

Aakhir ek din maine himmat karke usse message kar hi diya. Jis din number mila tha, us din message nahi kiya tha. Shayad do din baad maine pehla message bheja.

Usne reply bhi diya... aur sabse achhi baat ye thi ki usne mujhe "bhaiya" nahi kaha. Ye dekhkar mujhe bahut khushi hui. Us din humne thodi der normal baatein ki.

Kuch din baad maine socha ki use apne dil ki baat bata hi deta hoon. Maine socha, agar woh mana bhi kar degi to abhi dukh kam hoga aur main aasani se move on kar paunga.

Maine usse message kiya, "Tum free ho? Mujhe tumse kuch kehna hai."

Usne reply diya, "Haan, main free hoon."

Phir maine message me hi use propose kar diya.

Lekin propose karne ke baad uski taraf se koi reply nahi aaya. Woh bilkul chup ho gayi. Main bahut darr gaya. Maine use call bhi kiya, lekin usne phone nahi uthaya.

Main baar-baar message kar raha tha, "Kya hua? Kuch to bolo. Chup kyun ho? Mujhe bahut darr lag raha hai."

Woh mere messages dekh rahi thi, lekin reply nahi kar rahi thi.

Kuch der baad uska message aaya. Usne poocha, "Tum mere baare me kya jaante ho?"

Maine kaha, "Personal level par to main tumhe nahi jaanta, lekin jitna suna hai aur jitna dekha hai, usse mujhe lagta hai ki tum bahut achhi ladki ho."

Usne kaha, "Main bhi tumhe achhi tarah nahi jaanti aur tum bhi mujhe nahi jaante. Pehle hum dost bante hain, ek-doosre ko samajhte hain. Uske baad hi koi faisla karenge."

Maine kaha, "Theek hai."

Ek din maine usse kaha, "Jab main phone charging par lagata hoon ya sone jaata hoon, tab airplane mode on kar deta hoon. Agar tum kaho to aaj se airplane mode nahi karunga."

Usne jawab diya, "Nahi, mere liye tum khud ko mat badlo. Tum jaise ho, waise hi bahut achhe ho."

Uski ye baat sunkar mujhe bahut achha laga.

Hum dono normal baatein karte rahe.

Kuch din baad maine usse phir message kiya aur kaha, "Ab bata do... haan ya na. Agar mana karna hai to abhi hi kar do. Baad me mujhe aur zyada takleef hogi. Agar tumhara jawab na hai, to main tumhe dobara message nahi karunga."

Tab usne kaha, "Mera boyfriend hai."

Ye sunkar main ek pal ke liye chup ho gaya.

Maine kaha, "Agar tumhara boyfriend tha, to jab maine propose kiya tha tab hi bata deti."

Usne kaha, "Haan, tab nahi bataya... lekin aaj bata rahi hoon."

Maine socha, agar uska pehle se boyfriend hai, to main kya hi kar sakta hoon. Maine baat wahi khatam karne ka socha.

Lekin maine usse bas itna poocha, "Kaun hai woh?"

Jab usne us ladke ka naam bataya, to main bilkul shock ho gaya.

Main us ladke ko achhi tarah jaanta tha. Wahi ladka uska achha dost tha. Sabse badi baat ye thi ki usi ladke se main us ladki ke baare me poochta tha—uska nature kaisa hai, uska koi boyfriend hai ya nahi.

Woh ladka hamare saath dost ki tarah rehta tha. Hum sab milkar baatein karte the. Agar woh uska boyfriend tha, to usne mujhe usi waqt sach kyun nahi bataya, jab main usse us ladki ke baare me pooch raha tha?

Agar koi aur ladka hota, to shayad mujhe bura nahi lagta. Lekin us ladke ka sach chhupana mujhe andar se hila gaya.

Us din mere dimaag me sirf ek hi sawaal ghoom raha tha—usne aisa kyun kiya?


Post a Comment

0 Comments