Apni Buri Aadatein Badlo Aur Life Mein Aage Badho

Kuch aisi cheezein hoti hain jo aapka time waste karti hain. Inki wajah se aap khud ke liye, apne career ke baare mein ya apni life ke baare mein soch bhi nahi paate. Aap bas inhi cheezon mein busy reh jaate hain. In aadaton ko sudharna aur inse bahar nikalna zaroori hai. Jab aap in sab cheezon se bahar aa jaoge, tab aapke paas time waste karne ke liye kuch khaas nahi bachega aur automatically aap apne baare mein sochne lagoge. Jab sochoge, tabhi kuch karne ki koshish karoge. Warna jab tak ye aadatein rahengi, tab tak aap bas yahi kehte rahoge ki mujhse ye naukri nahi hogi ya main apne career mein kuch achieve nahi kar sakta. Aap ye sab tab keh rahe hoge, jabki aapne koshish tak nahi ki hogi.

Jab aapke paas time pass karne ke liye kuch nahi bachega, tab aapke paas sochne ke liye kaafi time hoga. Aapke dimaag mein naye naye ideas aayenge. Agar job nahi milti, to business ya apne liye kuch aur karne ke baare mein soch sakte ho. In aadaton ko kaise badalna hai, ye main apna example dekar samjhaunga. Agar aap meri baaton ko manoge, to mujhe yakeen hai ki aap dheere dheere in aadaton ko chhod paoge.

1. Social media, jaise Facebook, Instagram, Threads, etc.

2. Games, jaise Free Fire, PUBG, BGMI, Call of Duty, etc.

3. GF/BF se chatting ya baat karna

4. Roz movie dekhna

Main ye nahi kahunga ki upar batayi gayi saari cheezein buri hain. Har cheez ke positive aur negative, dono pehlu hote hain. In cheezon ke bhi positive pehlu hain, lekin zyadaatar students inka negative side hi use karte hain. Kuch logon ko to ye bhi pata nahi hota ki inka positive use bhi ho sakta hai.

1. Social Media

Instagram par kuch log reels dekhte hain, kuch reels banate hain aur kuch naye logon se chatting karte hain. Ye sab agar limit mein ho, to ise entertainment kaha ja sakta hai. Lekin jab koi bina limit ke ye sab karta hai, to ye addiction ban sakta hai. Jo log reels dekhte hain, Instagram kholkar reels dekhna shuru kar dete hain aur dekhte hi rehte hain. Unhe pata hi nahi chalta ki kitna time beet gaya. Aisa isliye hota hai kyunki ek baar reels dekhna shuru kar do, to ek ke baad ek video aati rehti hai; iska koi end nahi hota.

Jo log reels banate hain, kabhi kabhi din bhar isi mein lage rehte hain. Unke dimaag mein bas yahi chalta rehta hai ki kitne likes aaye, kisne comment kiya aur unki video kitni chali. Kuch log naye ladke ya ladkiyon se chatting karne mein bhi din bhar lage rehte hain. In sabke alawa unke dimaag mein kisi aur cheez ke liye waqt hi nahi bachta.

Agar aap social media ke addiction se bachna chahte ho, to apps ko mobile mein mat rakho; uninstall kar do. Zaroorat padne par kabhi kabhi install karke use kar lo aur kaam hone ke baad phir uninstall kar do. Apps ko hamesha mobile mein rakhna zaroori nahi hai. Aisa karte karte dheere dheere aapki aadat kam ho sakti hai. Shuruaat mein ye karna aasaan nahi hoga, kyunki baar baar social media use karne ka mann karega. Lekin koshish jaari rakho. Dheere dheere aap social media ka use kam karna aur use limit mein istemal karna seekh jaoge.

Iske alawa ek doosra option bhi hai, lekin ye sirf kuch logon ke liye kaam kar sakta hai. Aap Facebook, Instagram ya YouTube par study related ya knowledge related videos dekho. Aapne notice kiya hoga ki social media par aap jis tarah ke videos dekhte ho, waise hi aur videos aane lagte hain. Isliye agar aap padhai ya knowledge se judi videos dekhoge, to social media use karte hue bhi kuch naya seekh sakte ho.

Kuch logon ko lagta hai ki Instagram aur Facebook par padhai kaise ho sakti hai. Darasal, unhe pata hi nahi hota ki lagbhag har platform par knowledge se judi cheezein seekhi ja sakti hain. Unhe lagta hai ki in platforms par sirf reels dekh sakte hain, reels bana sakte hain aur chatting kar sakte hain. Lekin inka use aur bhi kai tarikon se kiya ja sakta hai. Bahut se log online padhai karna pasand nahi karenge, isliye ye option sabke liye nahi hai. Agar aapko lagta hai ki aap aisa kar sakte ho, to ye option chuno. Warna social media se door rehne ke liye pehla option behtar hai.

2. Games

Kuch bachche Free Fire, PUBG, BGMI, COD, etc. jaise games khelte hain. Game khelna bhi bura nahi hai, lekin limit se zyada khelna problem ban sakta hai. Kuch log din raat sirf games hi khelte rehte hain. Hamare college mein bhi kuch bachche the jo din bhar Free Fire khelte the, subah jaldi uthkar bhi game khelna shuru kar dete the. Unhe game ke alawa kuch aur dikhai hi nahi deta tha. Ye aadat padhai aur doosre zaroori kaamon par asar daal sakti hai. Agar aap apna zyadaatar waqt game mein hi bitaoge, to ho sakta hai ki aapko apne future ke baare mein sochne aur kuch naya karne ka waqt hi na mile. Isse aapke liye life mein apna raasta chunna mushkil ho sakta hai.

Asliyat mein, har kisi ko naukri nahi mil paati. Lekin naukri na milne par bhi log kuch aur karne, business shuru karne ya income ka koi doosra zariya dhoondhne ke baare mein soch sakte hain. Lekin jo bachche din raat games mein lage rehte hain, unhe shayad ye sochne ka waqt hi na mile ki life mein aage kya karna hai aur apna kharcha kaise chalana hai.

Game khelne walon se bhi main yahi kehna chahunga ki game ko mobile mein hamesha install karke mat rakho. Zaroorat ho to Sunday ko install karke khelo aur phir Monday ko uninstall kar do. Is tarah koshish karte rehne se game khelne ki aadat par control paane mein madad mil sakti hai.

3. Relationship aur Time Management

Main ye nahi kahunga ki college ya padhai ke samay pyaar karna galat hai. Lekin pyaar mein itna doob jaana ki uske alawa kisi aur cheez par dhyaan hi na rahe, ye galat hai. Agar aap padhai kar rahe ho aur relationship mein ho, to bhi koi baat nahi, lekin aapko time manage karna seekhna hoga. Apna saara waqt relationship ko mat do.

Maine kuch couples ko dekha hai jo din raat sirf baatein karte rehte hain; padhai ki to baat hi chhodo. College ke samay bhi maine aise students dekhe hain jo apni girlfriend ya boyfriend ko to waqt dete hain, lekin khud ke liye time nahi nikaal paate. Agar koi ladka padhne baithta hai, to usi waqt uski girlfriend ka call aa jaata hai aur baatein shuru ho jaati hain; padhai ruk jaati hai.

Relationship mein dono ko ye sochna chahiye ki unhe abhi life mein kuch achieve karna baaki hai. Isliye saara waqt baat karne mein bita dena sahi nahi hai. Baat karne ka ek time fix karo. Roz baat karna theek hai, lekin uski ek limit honi chahiye, jaise aadha ghanta ya ek ghanta. Jab har cheez limit mein hogi, to use manage karna aasaan hoga.

Dono ko ek doosre ko samajhna chahiye, warna baad mein ye shikayat ho sakti hai ki partner waqt nahi deta. Sahi partner woh hota hai jo aapka bhala chahta hai. Dono ko apne future ke baare mein sochna chahiye: aage chal kar kaise rahenge, paise kaise kamayenge aur apni zarooraton ko kaise poora karenge? Agar tabiyat kharab ho jaaye, to dawa kharidne ke liye paise hone chahiye. Ghoomne jaana ho, to uske liye bhi paise chahiye. Isliye income ka koi na koi zariya hona zaroori hai - chahe woh job ho, business ho ya kamaai ka koi aur tareeka. Dono ko is baare mein sochna chahiye. Baat karne ke waqt baat karo aur padhai ke waqt padhai. Pyaar ki wajah se kisi bhi kaam mein rukawat nahi aani chahiye; balki relationship ek doosre ke liye helpful hona chahiye. Ye tabhi possible hai jab dono apne aur ek doosre ke future ke baare mein sochen.

Pyaar karne ka behtar samay woh ho sakta hai jab aap job kar rahe ho, life mein kuch achieve kar chuke ho ya income ka zariya bana chuke ho. Agar aap tab tak ruk sakte ho, to ye aapke liye achha ho sakta hai. Lekin agar pehle hi pyaar ho gaya hai, to bhi koi baat nahi. Bas time manage karna seekho aur jis waqt jo kaam karna hai, us par dhyaan do. Khud se poochho: jab aap single the aur relationship mein nahi the, tab jo kaam karte the, kya ab bhi woh sab kar paa rahe ho? Agar haan, to achhi baat hai. Iska matlab hai ki relationship ki wajah se aapke kaamon mein rukawat nahi aa rahi. Aisa hona bhi nahi chahiye. Dono ko milkar ye pakka karna chahiye ki relationship ki wajah se kisi bhi zaroori kaam mein rukawat na aaye. Zindagi pehle ki tarah hi chalni chahiye, bina kisi rukawat ke.

4. Movies aur Videos

Kuch bachche roz movies dekhte hain aur ek hi din mein chaar paanch movies tak dekh lete hain. Kuch log YouTube par movies dekhte rehte hain ya din bhar videos dekhne mein lage rehte hain. Iske alawa kuch aur nahi karte. oh nayi movie dhoondhte rehte hain; agar koi nayi movie nahi aayi, to purani hi dekh lete hain, lekin roz dekhna zaroori samajhte hain. Movie dekho, lekin limit mein. Roz movie dekhne ke bajay hafte mein ek din, jaise Sunday ko, dekh sakte ho. Apna time is tarah manage karo ki doosre kaam bhi kar sako. Movie dekhne ki wajah se koi zaroori kaam chhootna nahi chahiye.

Kul milakar, time manage karna seekho. Entertainment ka apni life mein ek hissa rakho, lekin addicted mat bano. Agar har cheez limit mein karoge, to use manage karna aasaan hoga. Main bas itna kehna chahta hoon ki in cheezon ki wajah se aapki padhai ya doosre zaroori kaamon mein rukawat nahi aani chahiye.

Maine sirf chaar points bataye hain. Iske alawa bhi kai tareeke ho sakte hain jinse aap apna time waste kar rahe ho. Unhe pehchanna aapki zimmedari hai. Apni kamzoriyon ko pehchano aur unka solution dhoondho.

Agar main apni baat karun, to main apne mobile mein social media apps install karke nahi rakhta. Kabhi kabhi Instagram download karta hoon, video post karne ke liye. Jaise hi video upload ho jaata hai, main app ko phir se uninstall kar deta hoon. Main social media ka use sirf apne business ko promote karne ke liye karta hoon. Jab zaroorat hoti hai, tabhi app download karta hoon; use mobile mein hamesha nahi rakhta. Mujhe pata hai ki agar apps mobile mein rahengi, to main reels dekhne lag sakta hoon. Isliye maine khud iska solution nikaal liya hai.

Pehle main games khelta tha, lekin ab main koi game nahi khelta aur na hi mujhe game khelne ki aadat hai. Girlfriend ki baat karun, to haan, meri bhi ek girlfriend hai. Lekin hum ghanton tak baat nahi karte aur uski wajah se mere kisi kaam mein rukawat nahi aayi hai. Main pehle jo kaam karta tha, ab bhi woh sab kar paa raha hoon aur main ab bhi pehle jaisa hi hoon. Ye isliye possible hai kyunki hum ek doosre ko samajhte hain. Main jaisa sochta hoon, woh bhi lagbhag waise hi sochti hai.

Movies ki baat karun, to mujhe movies dekhne ka zyada shauk nahi hai. Kabhi kabhi koi nayi movie aati hai, to dekh leta hoon. Lekin main aksar use 2x speed par dekhta hoon, kyunki zyadaatar movies ki story ka andaaza pehle hi ho jaata hai ki aage kya hone wala hai. Jahan koi naya concept hota hai, wahan main normal speed par dekhta hoon. Kuch hi movies aisi hoti hain jinhe main shuru se lekar aakhir tak normal speed par dekhta hoon, kyunki unki story kisi naye concept par based hoti hai. Warna aajkal ki zyadaatar movies ki stories ek jaisi lagti hain.

Main apni life mein aisi aadaton se bachne ki koshish karta hoon jinse mera waqt bekaar mein waste ho. Isliye main har waqt kuch na kuch kaam karna chahta hoon, taaki busy rahun aur us waqt ka use income kamaane ya kuch naya seekhne mein kar sakun. Bekaar baithe rehna mujhe achha nahi lagta; mujhe boring lagta hai.

Main do tarah se apna waqt use karta hoon. Agar income kamaane ka koi zariya hai, to main usi kaam mein busy rehta hoon. Agar aisa koi kaam nahi hai, to YouTube par kuch naya seekhta hoon jo mere kaam aa sake aur jiska use main apni life mein kar sakun. Aap bhi apna time waste mat karo. Abhi shayad aapko waqt ki value samajh nahi aa rahi ho, lekin jis din aap earning karna shuru karoge, tab samajh aayega ki jo waqt aap waste kar rahe the, usmein kitna kuch kar sakte the.

Pehle mujhe bhi time ki value samajh nahi aati thi. School aur college mein teachers kehte the ki time waste mat karo, lekin kaun sunta tha? Main bhi nahi sunta tha. Lekin jab se maine earning karna shuru kiya hai, tab se mujhe waqt ki value samajh aane lagi hai. Ab main samajh gaya hoon ki jis waqt ko hum barbaad kar dete hain, uska behtar use karke bahut kuch kar sakte hain. Isliye apni time waste karne wali aadaton ko badlo aur har roz kuch naya seekho. Dheere dheere aapko bhi waqt ki value samajh aane lagegi. Saath hi aapko ye bhi pata chalega ki aap kitni aisi cheezein nahi jaante jinhe jaanana aapke liye zaroori hai.

Post a Comment

0 Comments