11 October 2026, Sunday : Hamari 8th Mulakat
Main IBPS Banking exam dene ke liye ghar se Bhubaneswar gaya tha. Mera exam 11:30 AM se 1:00 PM tak tha. Mera ek dost paas mein hi rehta tha. Woh wahan rent par ek room lekar apni wife ke saath rehta tha. Uski shaadi ho chuki thi. Maine use call kiya. Usne kaha ki woh room par hai. Isliye main uske room par chala gaya.
Wahan jaane se pehle main dahi bara khane gaya tha. Ek baar khane se mera pet nahi bhara, toh maine dobara order kiya. Second time khane ke baad mera pet bhar gaya. Utne mein mera dost bhi aa gaya aur mujhe apne room par lekar gaya. Usne kaha ki kuch kha lo. Maine kaha, "Mera pet bhara hua hai, main nahi kha paunga." Lekin usne kaha ki thoda toh khana hi hoga.
Pehle uski wife ne mujhe rice diye. Phir mere dost ne kaha ki ise roti do. Usne mujhe 3 roti di. Main dheere dheere 2 roti kha gaya, lekin ek roti nahi kha paya. Uske baad woh dono apne kaam par chale gaye aur main exam centre chala gaya.
Maine apna exam diya. Exam khatam hone ke baad maine apni girlfriend ko call kiya, lekin usne pehle call nahi uthaya, kyunki woh raste mein thi aur mere paas aa rahi thi. Phir main public toilet gaya aur thoda fresh hokar bahar aa gaya. Isi beech uska call aaya. Usne kaha, "Mujhe lene aao, main Patia mein hoon." Phir maine online auto book kiya aur uske paas gaya. Wahan se use lekar aa gaya.
Hum meri chhoti behen ke school gaye. Woh wahan Class 3 mein padh rahi hai. Mujhe uske khane ke liye kuch samaan, jaise biscuit, mixture wagairah lekar dena tha. Saath hi, usse milkar bhi jaana tha, kyunki main Bhubaneswar aaya tha. Isliye socha ki usse milkar jaana hi sahi hoga. Lekin school ki security ne humein andar jaane nahi diya. Unhone kaha, "Aaj Sunday hai aur staff bhi nahi hai. Tumhe andar kaun lekar jayega?"
Phir humne class teacher ko call kiya. Unhone kaha ki woh chhutti par apne ghar aaye hue hain aur kuch nahi kar sakte. Lekin unhone security se kaha ki humein andar jaane diya jaye. Phir bhi security ne saaf mana kar diya. Unhone kaha ki unhe upar se clear instructions mile hain ki kisi ko bhi andar jaane nahi dena hai. Agar koi bachche ko lene aayega, tabhi use andar jaane diya jayega. Is tarah hum school ke andar nahi ja paye.
Phir maine apne ek dost ko call kiya, jo wahin padh raha hai. Maine use kaha ki woh jaakar meri behen ko ye samaan de de, kyunki security humein andar jaane nahi de rahi hai. Uske baad hum dono wahan ke Jagannath Temple chale gaye. Wahan thodi bahut photos aur videos shoot karne ke baad hum dono Sikharchandi Hill chale gaye.
Hum pahadi par chadhne lage, lekin aadhe raste se hi wapas aa gaye. Kyunki upar sirf ladke hi the aur woh picnic mana rahe the. Humein wahan jaana safe nahi laga, isliye hum wapas aa gaye. Phir humne decide kiya ki hum Buddha Park jayenge. Jab humne Buddha Park jaane ke liye online auto book kiya aur usmein baithkar ja rahe the, tab raste mein maine auto rukwaya. Wahan meri best friend aur meri ek aur friend rehti thi, isliye main un dono se milne ke liye ruk gaya. Hum dono unse mile aur thodi baat-cheet ki. Phir humne un dono ko bhi apne saath chalne ke liye bulaya, lekin woh nahi aayi, kyunki unhe market jaana tha. Isliye hum dono hi aage Buddha Park ke liye nikal gaye. Wahan humne thoda waqt saath mein bitaya aur photos aur videos liye. Kuch der baad hum park se bahar aa gaye.
Bahar aakar humne ek auto wale se poochha ki Apollo Hospital jaana hai, kitna kiraya loge? Usne ₹200 bataye. Hospital paas mein hi tha, isliye humne mana kar diya ki humein nahi jaana hai. Lekin woh baar baar humein bula raha tha. Woh keh raha tha, "Aao, batao kitna doge?" Lekin humne uski baat nahi suni aur wahan se wapas aa gaye.
Phir humne Uber app se online auto book kiya. Mazaak ki baat ye thi ki online booking bhi usi auto wale ke paas chali gayi, jise humne kuch der pehle mana kiya tha! Usne message kiya ki ₹30 extra lagenge, kyunki app par ₹80 dikh rahe the. Maine kaha, "Theek hai."
Phir usne humein message karke apne paas bulaya. Jab humne dekha, toh woh wahi auto wala tha, jise humne pehle mana kar diya tha.
Maine kaha, "Chalo, dekhte hain is baar kya bolta hai."
Hum uske paas gaye. Usne kaha, "₹120 de dena." Maine kaha, "Theek hai, chalo."
Phir hum dono Apollo Hospital pahunch gaye aur wahan utar gaye.
Use apne room par jaana tha aur mujhe bus stand jaana tha. Maine bus stand jaane ke liye online bike book ki aur use wahan chhodkar chala aaya.
Lekin jab main wahan se aa raha tha, toh mujhe aisa lag raha tha jaise main apni koi bahut kimti cheez chhodkar ja raha hoon. Main use bahut miss kar raha tha. Usse door jaate waqt dil mein ek ajeeb-si feeling ho rahi thi. Uske saath bitaya hua waqt mere liye bahut khaas tha, aur wahan se aate hue main use bahut yaad kar raha tha.
Phir main bus stand pahunch gaya. Wahan maine dinner mein roti aur paneer khaya. Uske baad kuch der ke liye apna mobile charging par lagaya, kyunki battery low ho chuki thi. Phir bus aane ka time ho gaya. Bus aayi aur main usmein baithkar ghar ke liye nikal gaya. Is tarah hamari 8th mulakat khatam hui.
.webp)
0 Comments