Ye baat tab ki hai jab main Rairangpur College mein +2 padh raha tha. Main ek mess mein rehta tha. Mess yani hostel jaisa hi hota hai, lekin room rent aur khane ke liye har mahine paise dene hote hain. Us waqt ki ek funny incident mujhe aaj bhi yaad hai.
Har mahine papa mujhe mere kharche ke liye ₹1000 ya phir ₹1500 diya karte the. Mujhe cash apne paas rakhna pasand nahi tha, isliye main CSC Centre jaakar paise bank mein deposit kar deta tha. Ek din main ₹2000 lekar CSC Centre gaya tha paise deposit karne ke liye. Wahan ₹1000 deposit karne par ₹10 extra charge liya jaata tha. Us hisaab se ₹2000 deposit karne ke liye ₹20 extra dene hote the. Yaani mujhe dukandaar ko total ₹2020 dene the.
Lekin pata nahi us din mera dimaag kahan tha! Maine use ₹20 toh de diye, lekin ₹2000 dena bhool gaya. Main wahan se ja hi raha tha ki dukandaar ne mujhe bulaya aur kaha, “Paisa?”
Maine kaha, “Diya toh hai.”
Usne kaha, “Sirf ₹20 hi diye ho, baaki ka?”
Maine kaha, “₹2000 mein ₹20 hi na?”
Usne kaha, “Haan.”
Maine kaha, “Toh diya na ₹20.”
Fir woh bola, “Haan, toh ₹2000 rupaye?”
Maine kaha, “Haan, toh ₹2000 mein ₹20 rupaye lete ho na, maine toh diya.”
Woh mujhe samjhane ki koshish kar raha tha, lekin mujhe kuch samajh hi nahi aa raha tha. Kaafi der baad jaakar mujhe samajh aaya ki main use ₹2000 diye hi nahi the. Main toh sirf ₹20 extra charge dekar ja raha tha! Pata nahi us din mera dimaag kahan tha. Woh baar-baar mujhe samjha raha tha ki ₹2000 ki baat kar raha hai, jo mere account mein deposit karne the, aur maine use sirf ₹20 extra charge diye the.
Us din mujhe khud par hi bahut hasi aayi. Woh mujhe itni der se samjha raha tha, lekin main samajhne ka naam hi nahi le raha tha. Aakhir mein jab mujhe samajh aaya, toh main muskura kar bola, “Arey haan! Main toh bhool hi gaya tha.”
Woh bhi ek achha aur shaant insaan tha. Woh poore time achhe se hi baat kar raha tha. Last mein usne kaha, “Yehi toh main tabse bol raha tha, tum samajh hi nahi rahe the!”
Aakhir mein hum dono has pade. 😂
Aaj bhi jab main us incident ke baare mein sochta hoon, toh mujhe hasi aa jaati hai. Pata nahi us din mera dimaag aakhir kahan chala gaya tha! 😄

0 Comments