Hamare Private Pyaar Ka Ek Chhota Sa Raaz

Jab main Bhubaneswar mein MBA kar raha tha, tab mujhe ek ladki se pyaar ho gaya tha. Lekin hamara pyaar private tha. Baaki lovers roz college campus mein jaakar baatein karte the, campus mein ghoomte the, lekin hum aisa nahi karte the. Hum college campus mein na toh saath ghoomte the aur na hi saamne baithkar baatein karte the. Hum sirf call aur WhatsApp par hi baat karte the. Hamare pyaar ke baare mein kuch gine-chune dost hi jaante the.

Main watch nahi pehenta tha. Ek din maine apni girlfriend se kaha, “Mujhe watch pehenni hai, tum mere liye ek watch kharid dogi kya?” Us waqt hamara pyaar naya naya shuru hua tha. Usne kaha, “Haan, main kharid dungi.” Jab woh ghar gayi, toh usne mere liye watch kharid li. Lekin problem ye thi ki hum college mein milte hi nahi the. Toh woh watch mujhe degi kaise?

Maine usse kaha, “Jab tum class mein aogi, toh watch lekar aana. Aur jab class khatam karke jaogi, toh use classroom mein hi chhod dena. Main baad mein aakar le lunga.” Jahan hamari classes hoti thi, uske upar hi hamara hostel tha. Isliye mere liye baad mein classroom mein jaakar watch lena aasaan tha.

Usne waise hi kiya. Woh watch classroom mein chhod gayi aur main baad mein jaakar watch le aaya. Watch ke saath usne mujhe ek hair tie (rubber band) bhi diya tha. Mujhe nahi pata tha ki use exactly kya kehte hain, shayad hair tie hi kehte hain. Usne mujhe woh bhi diya aur kaha, “Isko sambhal kar rakhna.”

Uske baad maine woh watch pehen li aur jo hair tie usne mujhe diya tha, uska bhi status laga diya. Meri girlfriend ki ek dost meri contact list mein thi. Usne mera status dekha, lekin use hamare relationship ke baare mein kuch bhi pata nahi tha. Woh mujhe senior hone ki wajah se “bhai” bulati thi.

Status dekhne ke baad usne meri girlfriend se kaha, “Ye dekh, bhai ne kya status lagaya hai! Iski bhi koi girlfriend hai kya?” Phir usne meri girlfriend se kaha, “Tera ek hair tie (rubber band) kahan hai?”

Meri girlfriend ne kaha, “Hai.”

Uski dost boli, “Dikha toh tere upar doubt ho raha hai.”

Meri girlfriend ne poore confidence ke saath kaha, “Bag mein rakha hoga. Laakar dikha doon?”

Uski dost boli, “Nahi, rehne de. Main tere upar doubt kar sakti hoon, lekin karungi nahi.”

Meri girlfriend ko khud bhi pata tha ki agar woh sach mein bag mein dhoondhne lagti, toh shayad pakdi jaati, kyunki woh hair tie usne mujhe hi diya tha.

Asal mein uske paas bilkul same do hair ties the. Usne ek mujhe de diya tha aur ek apne paas rakha tha. Woh khud bhi us hair tie ko use karti thi, isliye uski dost us cheez ko pehchanti thi. Isi wajah se usne meri girlfriend se poocha tha. Lekin woh apni dost par bahut bharosa karti thi, isliye usne zyada doubt nahi kiya. Agar uski dost sach mein us par doubt karti aur hair tie dhoondhne ke liye kehti, toh shayad hamara secret usi din pakda jaata.

Post a Comment

0 Comments