Best Friend Ke Liye Behen Ko Hostel Le Jana Pada

Ye baat tab ki hai jab meri chhoti behen ka birthday tha aur main Rairangpur mein padhai kar raha tha. Main ghar ja raha tha. Meri best friend ne mujhse kaha, “Tum apni chhoti behen ko lekar aana. Agar nahi lekar aaye to main dukhi ho jaungi.”

Maine kaha, “Theek hai, try karunga.”

Meri behen us waqt bahut chhoti thi. Ghar pahunchkar maine papa se kaha, “Main apni behen ko thodi der ke liye hostel lekar jaunga. Mere dost ne use lekar aane ko kaha hai.” 

Papa ne pucha, “Kaise jaoge?” Maine kaha, “Bike se jayenge.”

Maine ye bhi kaha ki mere bade papa ka beta, jo mujhse chhota hai, use bhi saath lekar jaunga. Behen chhoti thi aur bike par kahin so gayi to use sambhalne mein dikkat ho sakti thi. Isliye uska saath hona zaruri tha.

Papa ne kaha, “Theek hai, jao. Lekin jaldi wapas aa jana aur bike dheere chalana.”

Fir hum teeno main, mera chhota bhai aur meri chhoti behen—bike se Rairangpur ke liye nikal gaye.

Jab meri best friend ne meri chhoti behen ko dekha to woh bahut khush ho gayi. Woh meri behen ko hostel ke andar le gayi aur uske saath bahut saari photos click ki. Usne meri behen ko ek payal bhi gift ki. Lekin usne mujhse kaha, “Ye payal tumne di hai, aisa bolna. Agar tumne di hai bologe to tumhari behen aur bhi khush hogi.”

Maine kaha, “Theek hai.” Fir hum wapas ghar ke liye nikal gaye. Raat ko ghar mein meri behen ka birthday celebrate hua aur cake kata gaya. Birthday ke baad meri behen mummy-papa ko din ki saari baatein batane lagi. Woh keh rahi thi, “Didi ne mere saath photo click kiye... didi ne ye kiya...” Ye sab sunkar main andar hi andar dar raha tha. Main soch raha tha, “Kahin mummy-papa ko pata chal gaya to?” Lekin us waqt mummy-papa kisi kaam mein busy the, isliye woh meri behen ki baaton par zyada dhyan nahi de rahe the. Aur isi tarah us din main bach gaya! 

Post a Comment

0 Comments