Dost Ki Setting Karne Gaya Tha - Ladki Mujhse Hi Baat Karne Lagi 😂

Bhubaneswar mein jab main MBA padh raha tha, tab ki baat hai.

Bhubaneswar mein har saal hamare culture ka ek festival manaya jaata hai. Us din puja hoti hai aur uske baad hum apna traditional dance karte hain, jisme sabhi log ek-doosre ka haath pakadkar saath mein naachte hain. Us din main apne ek dost ko bhi festival mein lekar gaya tha. Use bhi ladki ke saath dance karna tha. Mere saath ek ladki dost bhi aayi thi. Maine socha, chalo ise bhi dance karwa dete hain. Main apne dost ko us ladki ke paas le gaya aur kaha, "Ise bhi saath mein le lo, ye bhi naachega."

Woh bhi dance mein add ho gaya. Ek taraf meri ladki dost thi aur doosri taraf uski behen. Hum sabne saath mein dance kiya. Festival khatam hone ke baad hum wapas apne room par aa gaye. Room pahunchte hi mere dost ne kaha, "Meri setting us ladki ke saath kar de jo tere dost ke paas thi."

Maine kaha, "Arey, woh toh uski behen hai!"

Usne kaha, "Tab toh aur achha hai! Apni dost se bol na, woh kah degi use."

Maine ye baat apni us ladki dost ko batayi. Usne kaha, "Arey, woh meri didi hai. Main use kaise bolunga? Tum hi batao na."

Maine kaha, "Main thodi na use jaanta hoon. Woh mujhe pehchanti bhi nahi hai."

Usne kaha, "Pehchanti hai. Maine use tumhare baare mein bataya hai."

Maine kaha, "Lekin mere paas uska number nahi hai."

Usne kaha, "Tum Instagram par message karo. Woh reply karegi."

Phir maine Instagram par uski didi ko message kiya aur uska number maanga. Idhar mera dost mujhe roj poochta tha, "Kaam hua ya nahi? Setting karega bhi ya nahi? Ya bas mujhse jhooth bol raha hai?"

Main kehta, "Kar dunga, thoda wait karo."

Sabse mazedaar baat ye thi ki mera khud ka koi GF nahi tha, lekin main doosre ke liye setting karne mein laga hua tha. Phir maine uski didi ko bataya ki mera dost use pasand karta hai aur poocha, "Main use kya bolun?"

Usne kaha, "Main use jaanti bhi nahi hoon. Aur waise bhi woh hamare community ka nahi hai."

Maine ye baat apne dost ko bata di. Usne kaha, "Theek hai, use bol de ki agar woh sirf dosti karna chahti hai aur pyaar nahi, toh bhi koi baat nahi."

Lekin maine ye baat us ladki ko nahi batayi. Kuch din baad mera dost phir poochne laga, "Kya hua? Bataya ya nahi? Usne kya kaha?"

Maine kaha, "Nahi bataya."

Woh bola, "Toh tu ye kaam nahi karega na?"

Maine kaha, "Ruk, aaj call karta hoon."

Phir maine us ladki ko call kiya. Call uthate hi woh boli, "Kya baat hai? Tum call bhi nahi karte ho. Humein kyun call karoge? Humein toh pasand hi nahi karoge tum!"

Main ekdum hairaan reh gaya. Maine socha, "Ye kya bol rahi hai?" Phir maine use bataya ki mera dost uske baare mein kya keh raha tha. Usne seedha mana kar diya. "Na, mujhe dosti bhi nahi karni hai. Woh hamare community ka nahi hai." Maine ye saari baat apne dost ko bata di. Hamare doosre dost ko bhi ye sab pata chal gaya. Lekin kahani mein asli twist toh ab aaya. Kuch din baad woh ladki mujhe roj call karne lagi. Mere dost log dekhte the aur mujhse poochte the, "Ye tujhe kyun call kar rahi hai?"

Maine kaha, "Pata nahi. Us din toh mujhe aisa bol rahi thi aur ab roj call karti hai."

Mera dost bola, "Tu abhi bhi nahi samajh raha hai kya? Woh tujhe pasand karti hai. Isliye tujhse baat karna chahti hai, tabhi roj call karti hai!"

Hamare doosre dost bhi mere dost ko chidhane lage. Woh bolte, "Ye toh tere liye setting karne wala tha na? Lekin ye toh khud us ladki se baat kar raha hai!" Sab log usse chidhate aur mera dost bhi mujhe bolta, "Dhoka de diya mujhe!"

Main kehta, "Maine kab dhoka diya? Main toh tere liye hi setting kar raha tha! Agar woh mujhe pasand karegi toh main kya hi kar sakta hoon? Main thodi na usse pyaar karta hoon!" Lekin mere dost log usse roj isi baat par chidhate rahe. Bas, ye tha us time ka incident. 

Post a Comment

0 Comments