Yeh baat us samay ki hai jab main High School me padhta tha.
Har Saturday hamari class me ek talent program hota tha. Us din students apni-apni kala dikhate the. Koi gaana gaata tha, koi dance karta tha, to koi acting ya doosri kala dikhata tha.
Ek Saturday hum sab students zameen par baithe hue the aur teacher kursi par baithe the.
Teacher ne poocha, "Aaj kaun gaana gaayega?" Tab class ki kuch ladkiyon ne mera naam le diya.
Teacher ne mujhe gaane ke liye bulaya.
Maine kaha, "Sir, main Santali language ka gaana gaunga." Teacher ne muskura kar kaha, "Theek hai, gaao."
Phir maine Santali bhasha ka ek gaana gaaya. Gaana khatam hote hi ek aisi baat hui jo aaj tak main nahi bhool paaya.
Teacher ko mera gaana itna pasand aaya ki woh apni kursi se uthkar hamare beech zameen par aakar baith gaye.
Unhone muskuraate hue kaha, "Mujhe tumhara gaana bahut achha laga. Main is gaane ki bhasha nahi samajhta, lekin gaana bahut hi sundar tha. Ek aur gaana sunao."
Unki yeh baat sunkar mujhe bahut khushi hui.
Aaj bhi mujhe samajh nahi aata ki teacher ko mera gaana itna kyun pasand aaya ki woh apni kursi chhodkar hamare saath zameen par baith gaye.
Lekin meri zindagi ke yaadgaar lamhon me se yeh ek aisa pal hai jise main kabhi nahi bhool sakta.
Us din maine jo Santali gaana gaya tha, uski shuruaati line kuch is tarah thi:
"Dulariya Gate Ting Dung Baku Tiyu Aya Serma Sorog Rinig Kunami Chando..."
Aaj bhi jab main us gaane ko yaad karta hoon, to us din ki woh khushi aur teacher ki tarif mere chehre par muskaan le aati hai.

0 Comments