Jab main ghar par tha, tab main roz bike nikalta tha aur ghoomne chala jata tha. Us samay maine naya-naya bike chalana seekha tha.
Ek din main bike se ghoomne ja raha tha aur bike thodi speed mein chala raha tha. Ek buzurg aadmi road ke right side mein khade the. Mere peeche se ek gaadi aa rahi thi. Jab main us buzurg aadmi ke paas pahunchne wala tha, tab woh bina dekhe road cross karne lage. Main right side se bhi cross nahi kar sakta tha, kyunki peeche se gaadi aa rahi thi. Left side mein bhi log the. Main beech mein phans gaya, isliye mujhe bike rokni padi. Lekin bike speed mein thi, isliye bike thodi aage nikal gayi aur mere pair se us buzurg aadmi ko halki si chot lag gayi. Usne mujhe wahin par maara aur gaali bhi di. Main chupchaap khada raha, kyunki mujhe lag raha tha ki meri galti thi. Dheere-dheere wahan log jama ho gaye. Logon ne kaha ki papa ko phone karke bulao.
Phir maine papa ko phone karke bataya, “Maine ek aadmi ko takkar maar di hai, aap yahan aa jao.”
Kuch der baad papa aaye aur mujhe kaha, “Tu ghar ja.”
Wahan jo log jama hue the, woh mujhe hi support kar rahe the, kyunki main bilkul chup tha aur maine ek bhi word nahi bola tha. Chot bhi zyada gehri nahi thi, bas halki si lagi thi. Lekin woh buzurg aadmi aise behave kar raha tha jaise use bahut badi chot lagi ho. Baad mein pata chala ki galti uski bhi thi. Woh bina dekhe hi road cross kar raha tha. Log use achhe se jaante the, kyunki woh roz aisa hi karta tha. Jab road khaali hoti thi, tab woh cross nahi karta tha. Jab koi gaadi uske paas aati thi, tabhi road cross karta tha.
Wahan maujood logon ne papa ko bataya, “Ye roz aisa hi karta hai aur logon se apne medical kharche ke liye paise maangta hai. Is bachche ki galti bas itni hai ki ye thodi speed mein bike chala raha tha, isliye time par control nahi kar paya. Lekin bike rok to raha tha. Speed mein bike aayegi to thodi aage to niklegi hi.”
Unhone papa se ye bhi kaha, “Isne aapke bachche ko maara aur gaali bhi di, lekin aapke bachche ne kuch nahi kaha. Ye apni jagah sahi hai.” Papa ne use paise nahi diye. Unhone kaha, “Chaliye, medical chalte hain. Treatment ka kharcha main dunga.” Papa us buzurg aadmi ko medical le gaye, uska treatment karwaya aur medicine bhi kharid kar di. Uske baad hum ghar wapas aa gaye.
Main papa se dar raha tha. Mujhe lag raha tha ki aaj ghar par meri khair nahi hai. Main soch raha tha ki papa mujhe bahut daantenge. Lekin aisa kuch bhi nahi hua. Papa ne bas itna kaha, “Tu bike speed mein chala raha tha. Maine tujhe kitni baar kaha hai ki bike dheere chalaya kar. Itni bhi kya jaldi thi? Log cycle se jaakar pahunch rahe hain aur koi paidal jaakar bhi apni destination tak pahunch raha hai. Tu bike se nahi pahunch sakta kya?”
Phir papa ne kaha, “Aage se dheere chalana. Chahe kitna bhi urgent kaam ho, bike ko control mein rakhna.” Papa ye sab gusse mein nahi keh rahe the. Woh shaant hokar mujhe samjha rahe the.
Ek Aur Incident
Ek baar confusion ki wajah se main ek ladki ko takkar maarne wala tha, jo hamare coaching centre mein padhti thi. Lekin maine time par bike rok li, isliye kuch nahi hua. Us samay us ladki ke papa bhi wahin road par khade the aur unhone poora incident dekha. Woh paas aaye aur bole, “Kaise bike chala rahe ho? Achha hua kuch nahi hua. Agar kuch ho jata to?” Maine unhe bataya ki confusion ki wajah se aisa hua.
Main left side se ja raha tha aur woh ladki bhi left side se aa rahi thi. Maine socha ki main right side se nikal jata hoon, lekin woh bhi right side ki taraf aa gayi. Phir maine left side se nikalne ki koshish ki, lekin woh bhi meri taraf hi handle ghuma di. Phir maine socha ki right side se hi nikalta hoon, lekin woh bhi meri taraf aa gayi. Dono ko samajh hi nahi aa raha tha ki kis side se jaana hai. Isi confusion mein hum dono aamne-saamne aa gaye. Lekin maine time par bike rok di, isliye takkar nahi hui.
Us ladki ke papa bhi achhe aadmi the. Unhone baat ko zyada nahi badhaya. Agar koi aur hota, to shayad itni si baat mein hi hangama khada kar deta. Ye us samay ki kuch memories hain, jab main naya-naya bike chalana seekh raha tha.

0 Comments