Kya Bhagwan Sach Me Hote Hain?

Meri nazar me, is duniya ke sabse bade Bhagwan hamare Mata-Pita hote hain. Unhone hume janm diya, hume chalna sikhaya aur har mushkil me hamara saath diya. Isliye hume roz unka samman karna chahiye aur unka aashirwad lena chahiye. Jin logon ke Mata-Pita ab is duniya me nahi hain, woh unki tasveer ke saamne shraddha se unhe yaad kar sakte hain.

Mere Pitaji hamesha ek baat kehte hain ki is duniya me chaar aise devta hain jinhe hum roz dekhte hain, lekin aksar unka mahatva bhool jaate hain.

Woh chaar hain:

  • Jal (Water)
  • Vayu (Air/Oxygen)
  • Prithvi (Earth/Land)
  • Agni (Fire)

In chaaron ke bina jeevan sambhav hi nahi hai. Jal hume jeevan deta hai, Vayu hume saans deti hai, Prithvi hume sahara aur ann deti hai, aur Agni hume urja aur roshni deti hai. In chaar devtaon ka samman aur pooja karo.

Agar tum Jal Devta ki pooja karoge, to tum kabhi paani me doobkar nahi maroge. Agar tum Vayu Devta ki pooja karoge, to sunami ya bhayanak aandhi-tufaan jaisi sthitiyon me bhi surakshit rahoge. Agar tum Dharti Mata ki pooja karoge, to kisi durghatna me zameen par girne se tumhari mrityu nahi hogi. Agar tum Agni Devta ki pooja karoge, to aag me jalne se tumhari mrityu nahi hogi. Yeh chaaron tatva is sansar ki sabse shaktishaali aur khatarnak shaktiyan hain. Isliye inka sada samman karo aur inki pooja karo.

Har insaan ko ek na ek din is duniya se jaana hai. Lekin agar hum Mata-Pita ka samman karein aur prakriti ke in chaar tatvon ka aadar karein, unke niyamon ka palan karein aur saavdhani se jeevan jeeyein, to hum kai anavashyak durghatanon se bach sakte hain.

Meri soch me, Bhagwan sirf mandiron me hi nahi, balki un logon aur un prakritik shaktiyon me bhi hain jo hume har din jeevan dete hain.

Post a Comment

0 Comments